Neend ka karwa u he thuma reh gaya
Ankho mein sapna u he saja reh gaya!!
Jagte he reh gaye hum tau saari raat!!
Humara dil apki yaado mein bas khoya reh gaya!!
Socha ki apko humari yaad aaye gi kabhi,
Kabhi tau aapko humara khayal aayega
Dil mein uthe aaram qaid reh gaye iss dil mein
Par unke dil mein naa yeh khayal aaya!!
Na koi hitchki aaye naa koi paigaam aaya!!
Unki aur se na koi khaat na kalaam aaya!!
Yaad karte reh gaye hum unhe saari raat!!
Pata nahi unhe humara khayal kyun nahi aaya!!
Karwate palat kar raatein cut gaye humari
Unke intejaar mein thaak gaye ankhein humari
Thaaki aankho se bhi bass yahi ek sawaal aaya
Ki jane kyun unhe humara khayal nahi aaya!!
Andhere kale saaye mein roshni ki kiran tab aaye
Jab unki tasveer he bas in ankho ke saamne aaye
Tasveer mein chupi khamoshi se bhi hume yahi kaha
Ki pata nahi appko humara khayal kyun nahi aaya
Aap ki hassi sun ne ko taras gaye yeh kaan humare
Baat karne ke intejaar mein har gaye saane humari
Hari huye saanso se bhi bass yahi ek payam aaya
Ki pata nahi kyun unhe humara khayal nahi aaya!!
Khamoshi ka sagar kyun gehra ho gaya!!
Kya humne ki khata jo yeh aalam ho gaya!!
Kaafur ho gaye hum se saari khushiya
Gum ka bas naamo nishaan he rah gaya!!
Wo ruthe humse iss kadaar, ki adhura humara jaha reh gaya!!
